HE IS A LEADER NOT A FOLLOWER

Saal tha 1959, Month tha January, Date thi 6th, jagah thi India ki City Chandighar, Ye India ke Itihas ka wo din tha jab ek leader ka born hua tha, family thi JAAT ki jo ek ziddi, hatheli aur josho junun wali cast mani jati hai pure Hindustan mai aur us jaat ko puri dunia ne jana pahchana sadi ke Maha Nayak Kapil Paaji ke roop mai.

AVI TAK DHOOP MAI JALA HU, AB CHHAW DEKHUNGA….MANZIL PER PAHUCHNE PER, APNE PAW DEKHUNGA

Saal tha 1978, Month tha October, Date thi 1st aur pardapan hua hamare maha nayak Kapil paa ji ka, suruaat huyi ek saflta ke safarnaame ki International One Day Cricket mai, samne thi India ki Famous Rival Team Pakistan. Is month ki 16th ko unka Test matche mai vi debut hua tha Pakistan ke hi against mai, Ye 19 saal ka hariyanwi ek anjan Jaat, aage chal ke Inian Cricket jagat ki pahchan banega kisi ne socha vi nahi tha.

MUSKILO SE LADNE WALA SAFALTA KO PATA HAI, AUR BAITH KAR BAHANE BANANE WALA WAHI KA WAHI RAH JATA HAI

Kapil Paaji ki suru hui STORY OF SUCCESS mai kisi bahane ki koi jagah hi nahi thi, unka WAY 2 SUCCESS ka vision bahut hi loud and clear tha aur chadhne lage lagatar saflta ki sidhi, bs debut ke sirf 5 saal baad yani 1983 wo chune gaye Team India ke sab se youngest Captain aur mila ek challenging tast WORLD CUP 83, Youngest wo age se the per sapne bade bade the aur unke jujharupan ne at last unka dream pura kar hi diya. India ne apna pahla One Day World Cup jit hi liya.

THE STORY OF SUCCESS in 1983 World Cup ke bare mai, Dosto ek alag se pura blog aap logo ke liye likunga, filahal is blog mai hum bs unke way 2 success ki aur unki life ke bare mai kuch jane anjane Struggle ke bare mai Janege.

Kapil paaji ne 1980 mai ROMI BHATIA se shadi ki per unhe santan ka sukh 1996 mai suputri AMIYA DEV ke roop mai mila. Jab ki unka cricket ke safalta ka safarnama 1994 mai finish ho gaya tha, unka last test INDIA VS NEW ZEALAND 19 March1994 aur last ODI INDIA VS WEST INDIES 17 October 1994 tha.

JO DUSRO KI KHUSHI KE LIYE HAAR JAYE, USE DUNIA KI KOI SAKTI NAHI HARA SKTI

In 1984, INDIA VS ENGLAND ka 3rd Test Match jo ki Kolkata Ke Eden Garden mITIHASai khela gaya tha hamare Hero aur Idol ke liye BLACK OUT tha, jab ki Kapil paaji ko Team se drop out kar diya gaya tha. Per hamare desh ke khel pramiyo ko ye hargij bardast nahi hua aur pure Eden Garden ki public ne jam ke protest kiya, Mahan Balebaaz Sunil Gavskar ki bahut hooting hui.

NO KAPIL NO TEST

ITIHAS gawah hai ek sacha aur achha khiladi kavi vi wiprit paristhiyo mai vi vichlit nahi hota, aur agle hi Test Match mai Kapil Paaji ki wapasi hui. Dosto ek khiladi ki life hamesha sangharo se vary hoti hai per hamar pyare paaji ne apne 16 saal ke career mai kavi haar nahi mani aur apne yodha mindset ke chalte bahut se World Records banaye. Unka desh ke liye Cricket ke liye yogdaan aaj World Cup ki jeet ke 40 saal baad vi hamare dilo mai zinda rahega.

SPORTO : A SPORTS MEDIA APP savi sports lover ka apna App jaha NO ENTRY FEE 100% FREE mai avi ke avi download kar ke apne man pasand khel ki koi vi Image ya Videopost kar ke paye dhero REWARDS. Duniya ka pahla eisa unique app jo aap ko pal pal har pal ki khabro ko updates aur news dega

THE REAL WORLD OF SPORTS IS WAITING FOR YOU

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *